Aye Chand Karbala Ke Lyrics | Poetry | Prof. Sibt-e-jaafar Zaidi – LyricsEz

AYE CHAND KARBALA KAY by PROF SIBTE JAFAR – HADITV

ay-chand-karbala-kay-lyrics

AYE CHAND KARBALA KAY| SHAYARI LYRICS | PROF SIBTE JAFAR – HADITV

Aye Chand Karbala Ke Tune To Dekhe Honge,
Utre The Is Zameen Par Arshe Bareen Ke Taare,
Aye Chand,

Aye Chand Jalwa Gar Hai Hashim Ka Chand Yaan Par,
Khairaat Roshni Ki Le Lijiyo Yahaan Se,
Aye Chand,

Aye Chand Iss Zameen Par Rakhiyo Humesha Thandak,
Sote Jo Hain Yahan Par Zehra Ke Hain Ye Pyare,
Aye Chand,

Tasneemo Salsabilo Kausar Ke Hain Ye Maalik,
Maare Gaye Jo Pyase Is Neher Ke Kinare,
Aye Chand,

Hur Aur Habib Jaise Janbaaz Aur Ahibba,
Maare Gaye Yaheen Par Ansaar Shaahe Deen Ke,
Aye Chand,

Maare Gaye Yahin Par Be Dardio Sitam Se,
Muslim Ke Dono Pyare Zainab Ke Dono Bete,
Aye Chand,

Pamaal Ho Rahi Thi Kaasim Ki Laash Run Mein,
Abbas Aur Sarwar Chunte The Unke Tukde,
Aye Chand,

Baazu Kate Yahin Par Abbase Bawafa Ke,
Iznay Wagaa Na Paya Pani Bhi La Na Pa,
Aye Chand,

Is Sarzameen Pa Guzra Sarwar Pa Ye Bhi Sadma,
Seene Par Khaayi Barchhi Hum Shakle Mustafa Ne,
Aye Chand,

Paani Pilaney Laaye Ik Mehlaka Ko Sarwar,
Kia Zabha Hurmulane Teere Sitam Laga Ke,
Gardan Chhidi Pisar Ki Bazu Chhida Padar Ka,
Dono Tadap-Tadap Kar Pyase Jahaan Se Guzre,
Aye Chand,

Is Ban Mein Ek Bachi Baba Ko Dhoondti Thi,
Bikhray Huway Parhey The Jab Sar Burida Laashe,
Phir Yeh Bhi Tum Ne Dekha Woh Ghum Rasida Bachi,
Seenay Pe So Rahi Thi Be Sar Padar Se Lipti,
Aye Chand,

Baazu Bandhey Yaheen Par Pehlay Pahel Haram Ke,
Is Sar Zameen Se Niklay Sajjad Sar Jhukaye,
Aye Chand,

Shehzaad-E-Jinaa Hi Maalik Hai Karbala Ka,
Kis Ki Majaal Aye Jab Tak Na Wo Bula,
Pohnche Hain Karbala Mein Jo Log Sibte Jafar,
Aye Kash Phir Mukaddar Unko Ye Din Dikhaye,

Aye Chand Karbala Kay Toonay Toh Dekhe Hongay,
Utray Thay Is Zameen Par Arshay Bareen Ke Taarey.